jo hamāre safar kā qissa hai
vo tirī rahguzar kā qissa hai
sub.h tak ḳhatm ho hī jā.egā
zindagī raat bhar kā qissa hai
dil kī bāteñ zabāñ pe kyuuñ laao
ghar meñ rahne do ghar kā qissa hai
koī talvār kyā batā.egī
dosh kā aur sar kā qissa hai
hosh aa jaa.e to sunā.ūñgā
chashm-e-dīvāna-gar kā qissa hai
chalte rahnā to koī baat na thī
sirf samt-e-safar kā qissa hai
jīte-jī ḳhatm ho nahīñ saktā
zindagī umr bhar kā qissa hai
shaam ko ham sunā.eñge tum ko
shab-e-ġham kī sahar kā qissa hai
tere naqsh-e-qadam kī baat nahīñ
sirf shams o qamar kā qissa hai
dāman-e-ḳhushk laao phir sunñā
ye mirī chashm-e-tar kā qissa hai
chand tinke na the nasheman ke
bāġh-o-shāḳh-o-shajar kā qissa hai
halq meñ chubh rahe haiñ kāñTe se
lab pe gul-hā-e-tar kā qissa hai
merī barbādiyoñ kā haal na pūchh
ek nīchī nazar kā qissa hai
usī bedād-gar se kah de 'sabā'
usī bedād-gar kā qissa hai