Saba Akbarabadi

tumne rasm-e-jafa uTha di hai

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
tum ne rasm-e-jafā uThā dī hai
hameñ kis jurm kī sazā dī hai
sham-e-ummīd kyuuñ jalā dī hai
ishq tārīkiyoñ kā aadī hai
aap ne ḳhud mujhe sadā dī hai
yā mirī quvvat-e-irādī hai
ham to muddat ke mar ga.e hote
maut ne zindagī baḌhā dī hai
ab duā par bhī e'timād nahīñ
nā-murādī sī nā-murādī hai
tujh sā bedād-gar kahāñ hogā
lab-e-har-zaḳhm ne duā dī hai
muḳhtalif haiñ tasavvurāt-e-jamāl
ye aqīda bhī infirādī hai
dekh fitrat kī bazm-ārā.ī
ḳhaak par chāñdnī bichhā dī hai
ye jo chhoTī sī hai kalī sar-e-shāḳh
baaġh kī baad shāhzādī hai
lab-e-tasvīr-e-dost kuchh to batā
kis ne ye ḳhāmushī sikhā dī hai
ai 'sabā' kīmiya-e-ġham ke liye
zindagī ḳhaak meñ milā dī hai
Top Urdushayar.com