pūchheñ tire zulm kā sabab ham
itne to nahīñ haiñ be-adab ham
ilzām nahīñ hai fasl-e-gul par
ḳhud apne junūñ kā haiñ sabab ham
sāhil pe sivā.e ḳhaak kyā thā
ġharqāb hue haiñ tishna-lab ham
karte haiñ talāsh-e-ādmiyyat
duniyā meñ haiñ aadmī ajab ham
fursat ho to aa ke dekh jaao
muddat se paḌe haiñ jāñ-ba-lab ham
bāhar se haiñ momin-e-sarāpā
indar se tamām bū-lahab ham
har shāḳh pe gul khile hue the
gulshan se 'sabā' chale the jab ham