puurī mire junūñ kī zarūrat na kar sake
sahrā-e-jāñ bhī ho to kifālat na kar sake
sa.ī-o-amal kī ruuh mohabbat ke saath thī
vo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake
duniyā meñ jitne ġham mile dil meñ basā liye
ham sirf tere ġham pe qanā.at na kar sake
apnā hī hāl-e-zār sunāte rahe tujhe
lekin tire sitam kī shikāyat na kar sake
tārāj kar ke ishq kī bastī chale ga.e
tum fat.h kar ke dil pe hukūmat na kar sake
duniyā meñ ab bhī log vafā ke haiñ mudda.ī
hāsil hamāre haal se ibrat na kar sake
hai kāfir-e-adab mire mashrab meñ ai 'sabā'
shā.ir jo ehtirām rivāyat na kar sake