Saba Akbarabadi

chala-chal mohlat-e-aram kya hai

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
chalā-chal mohlat-e-ārām kyā hai
musāfir aur terā kaam kyā hai
hamārā vāsta hai un ke Dar se
hameñ saare jahāñ se kaam kyā hai
tumhārā husn to hai ġhair-fānī
hamāre ishq kā anjām kyā hai
ḳhudā kā naam lenā chāhtā huuñ
magar mere ḳhudā kā naam kyā hai
svād-e-shām-e-mai-ḳhāna salāmat
bayāz-e-jāma-e-ehrām kyā hai
tum apne ā.īne se pūchh lete
hamāre ishq par ilzām kyā hai
hameñ ḳhud rāsta chalnā na aayā
farāz o past par ilzām kyā hai
suno ai āshiyāñ ke ḳhushk tinko
bahār-e-bāġh kā paiġhām kyā hai
ḳhirad ke mas.ale hal karne vaalo
tumheñ mere junūñ se kaam kyā hai
ḳhabar ḳhud mauj-e-tūfāñ ko nahīñ hai
safīne kā mire anjām kyā hai
ba-rāh-e-rāst un ko māñgtā huuñ
takalluf kā duā meñ kaam kyā hai
had-e-parvāz jab simTī to samjhe
qafas kyā āshiyāñ kyā daam kyā hai
'sabā' tark-e-mohabbat kar rahe ho
mohabbat se zarūrī kaam kyā hai
Top Urdushayar.com