kasrat-e-jalva ko ā.īna-e-vahdat samjho
jis kī sūrat nazar aa.e vahī sūrat samjho
ġham ko ġham aur na musībat ko musībat samjho
jo dar-e-dost se mil jaa.e ġhanīmat samjho
jhuk ke jo saiñkaḌoñ fitnoñ ko jagā saktī haiñ
vo nigāheñ agar uTTheñ to qayāmat samjho
nahīñ hote haiñ riyā-kārī ke sajde mujh se
maiñ agar sar na jhukā.ūñ to ibādat samjho
rafta rafta mirī ḳhuddārī se vāqif hoge
abhī kuchh din mire andāz-e-mohabbat samjho
jalva dekhoge kahāñ dil ke alāva apnā
mire TuuTe hue ā.īne kī qismat samjho
kam nahīñ duur asīrī meñ sahārā ye bhī
qaid meñ yād-e-nasheman ko ġhanīmat samjho
ḳhuub samjhāyā hai ye kātib-e-qismat ne hameñ
jo mayassar ho jahāñ meñ use qismat samjho
ham-jafāoñ ko bhī andāz-e-ināyat samjheñ
aur tum shukr-e-sitam ko bhī shikāyat samjho
merī āñkhoñ meñ abhī ashk bahut baaqī haiñ
tum jo mahfil meñ charāġhoñ kī zarūrat samjho
ai 'sabā' kyuuñ ho dar-e-ġhair pe tauhīn-talab
apne hī dar ko hamesha dar-e-daulat samjho