uljhanoñ meñ kaise itmīnān-e-dil paidā kareñ
bijliyoñ meñ rah ke tinkoñ kā bharosa kyā kareñ
zabt aañsū jab kiye to uchhlā chehre par lahū
ġham kī maujeñ rokne se rāsta paidā kareñ
kahte haiñ qissa zamāne se yahī tashvīsh hai
sī liye haiñ lab magar in āñsuoñ ko kyā kareñ
ham bhī bande haiñ hameñ bhī maqdarat itnī to hai
vo ḳhudā ban jaa.e jis ke sāmne sajda kareñ
tāqat-e-dīdār zāhir aur āñkhoñ ko ye shauq
bas tumheñ dekhā kareñ dekhā kareñ dekhā kareñ
chāhte ye haiñ ki rāh-e-zindagī hamvār ho
sochte ye haiñ ki duniyā ko tah-o-bālā kareñ
bevafā sūraj Dhalā jaatā hai chashm-e-shauq se
aur kab tak e'tibār-e-vāda-e-fardā kareñ
maslahat kā ye taqāzā hai ki hañsnā chāhiye
bazm-e-hastī meñ 'sabā' kab tak ġham-e-duniyā kareñ