javānī zindagānī hai na tum samjhe na ham samjhe
ye ik aisī kahānī hai na tum samjhe na ham samjhe
hamāre aur tumhāre vāste meñ ik nayā-pan thā
magar duniyā purānī hai na tum samjhe na ham samjhe
ayaañ kar dī har ik par ham ne apnī dāstān-e-dil
ye kis kis se chhupānī hai na tum samjhe na ham samjhe
jahāñ do dil mile duniyā ne kāñTe bo diye aksar
yahī apnī kahānī hai na tum samjhe na ham samjhe
mohabbat ham ne tum ne ek vaqtī chiiz samjhī thī
mohabbat jāvedānī hai na tum samjhe na ham samjhe
guzārī hai javānī rūThne meñ aur manāne meñ
ghaḌī-bhar kī javānī hai na tum samjhe na ham samjhe
matā-e-husn-o-ulfat par yaqīñ kitnā thā donoñ ko
yahāñ har chiiz faanī hai na tum samjhe na ham samjhe
adā-e-kam-nigāhī ne kiyā rusvā mohabbat ko
ye kis kī mehrbānī hai na tum samjhe na ham samjhe