sonā thā jitnā ahd-e-javānī meñ so liye
ab dhuup sar pe aa ga.ī hai aañkh kholiye
yaad aa gayā jo apnā garebāñ bahār meñ
dāman se muñh lapeT liyā aur ro liye
ab aur kyā kareñ tire tark-e-sitam ke ba.ad
ḳhud apne dil meñ aap hī nashtar chubho liye
parvāna-e-rihā.ī-e-ḳhāma to mil gayā
lekin huzūr ab dar-e-zindāñ bhī kholiye
apne liye ta.ayyun-e-manzil koī nahīñ
jo bhiiḌ jis taraf ko chalī saath ho liye
thī nāgavār-e-tab.a tujhe sādgi-e-ishq
le aaj ham ne palkoñ meñ motī piro liye
har ik ba-zom-e-ḳhvesh jahāñ ho suḳhan-shanās
behtar ye hai 'sabā' ki vahāñ kuchh na boliye