hujūm-e-ġham hai qalb ġham-zada hai
mirī mahfil mirā ḳhalvat-kada hai
azal se aaj tak koī na samjhā
hayāt-e-muḳhtasar kyā sho.abada hai
bahakne de zarā rindoñ ko saaqī
yahī hañgāma jān-e-mai-kada hai
kahāñ dekhoge tum apnī tajallī
jo ā.īna hai vo hairat-zada hai
nazar kyā jām-o-mīnā par uThā.ūñ
nigāh-e-dost puurā mai-kada hai
idhar bhī ruḳh kar ai bārān-e-rahmat
hamārā āshiyāñ ātish-zada hai
mire piine pe pābandī hai jab se
'sabā' ujḌā huā sā mai-kada hai