Saba Akbarabadi

jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
jo dekhiye to karam ishq par zarā bhī nahīñ
jo sochiye ki ḳhafā haiñ to vo ḳhafā bhī nahīñ
vo aur hoñge jinheñ maqdarat hai nāloñ kī
hameñ to hausla-e-āh-e-nā-rasā bhī nahīñ
had-e-talab se hai aage junūñ kā istiġhnā
laboñ pe aap se milne kī ab duā bhī nahīñ
husūl ho hameñ kyā mudda.ā mohabbat meñ
abhī salīqa-e-iz.hār-e-mudda.ā bhī nahīñ
shaguft-e-gul meñ bhī zaḳhm-e-jigar kī sūrat hai
kisī se ek tabassum kā aasrā bhī nahīñ
zahe hayāt tabī.at hai e'tidāl pasand
nahīñ haiñ rind agar ham to pārsā bhī nahīñ
sunā to karte the lekin 'sabā' se mil bhī liye
bhalā vo ho ki na ho aadmī burā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com