Saba Akbarabadi

aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
ā.īna ban jā.iye jalva-asar ho jā.iye
sāmne vo hoñ to sar-tā-pā nazar ho jā.iye
soz-e-dil se gosha-e-tanhā.ī meñ kyā fā.eda
is tarah jaliye charāġh-e-rahguzar ho jā.iye
is udāsī kā dhuñdlakā ḳhatm ho shāyad kabhī
shaam se pahle hī unvān-e-sahar ho jā.iye
manzil-e-ulfat pe dil tanhā pahuñch saktā nahīñ
aap agar chāheñ to mere ham-safar ho jā.iye
ḳhud-baḳhud saare zamāne ko ḳhabar ho jā.egī
hoshiyārī hai ki sab se be-ḳhabar ho jā.iye
shauq kahtā hai ki sajdoñ meñ tasalsul chāhiye
dil ye kahtā hai ki jazb-e-sañg-e-dar ho jā.iye
jab kisī se pesh-qadmī zulm kī ruktī na ho
us jagah lāzim hai ḳhud sīna-sipar ho jā.iye
ik azāb-e-mustaqil hai fikr-e-ta.amīr-e-makāñ
sākin-e-sahrā-e-be-dīvār-o-dar ho jā.iye
kashmakash meñ infirādiyyat zarūrī hai 'sabā'
jis taraf koī nahīñ hotā udhar ho jā.iye
Top Urdushayar.com