Saba Akbarabadi

manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
manzil pe pahuñchne kā mujhe shauq huā tez
rasta milā dushvār to maiñ aur chalā tez
hāthoñ ko Dubo aa.e ho tum kis ke lahū meñ
pahle to kabhī itnā na thā rañg-e-hinā tez
mujh ko ye nadāmat hai ki maiñ saḳht-gulū thā
tujh se ye shikāyat hai ki ḳhanjar na kiyā tez
chal maiñ tujhe raftār kā andāz sikhā duuñ
ham-rāh mire sust-qadam mujh se judā tez
afsurdagi-e-gul pe bharīñ kis ne ye aa.heñ
chaltī hai sar-e-sahn-e-chaman aaj havā tez
ab mujh ko nazar pher ke ik jaam de saaqī
phir kaun sambhālegā agar nashsha huā tez
insān ke har ġham pe 'sabā' choT lagī hai
shīshe ke chaTaḳhne kī bhī thī kitnī sadā tez
Top Urdushayar.com