Khushbir Singh Shaad

andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954
añdheroñ meñ bhaTaknā hai pareshānī meñ rahnā hai
maiñ jugnū huuñ mujhe ik shab kī vīrānī meñ rahnā hai
abhī kuchh zabt kā yaarā mirī āñkhoñ meñ baaqī hai
abhī ashkoñ ko palkoñ kī nigahbānī meñ rahnā hai
jo manzar rū-ba-rū hai dekh luuñ ik baar jī bhar ke
phir is ke ba.ad to āñkhoñ ko hairānī meñ rahnā hai
tirī vahshat samajhtā huuñ ai merī aarzū lekin
tujhe kuchh din abhī is dil kī vīrānī meñ rahnā hai
tū phir kyuuñ lauT kar har baar aa jaatī haiñ sāhil par
agar in kashtiyoñ ko umr bhar paanī meñ rahnā hai
isī ummīd par to kaaT liiñ ye mushkileñ ham ne
ab is ke ba.ad to ai 'shād' āsānī meñ rahnā hai
Top Urdushayar.com