Saba Akbarabadi

husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
husn jo rañg ḳhizāñ meñ hai vo pahchān gayā
fasl-e-gul jā mire dil se tirā armān gayā
tū ḳhudāvand-e-mohabbat hai maiñ pahchān gayā
dil sā ziddī tirī nazroñ kā kahā maan gayā
ā.ina-ḳhāna se hotā huā hairān gayā
ḳhud-farāmosh huā jo tumheñ pahchān gayā
ab to mai-ḳhāna-e-ulfat meñ chalā aayā huuñ
us se kyā bahs rahā yā merā īmān gayā
apne dil se bhī chhupāne kī thī koshish kyā kyā
vo mirā hāl-e-mohabbat jise tū jaan gayā
hai yahī hukm to ta.amīl kareñge sāhab
na kareñge tumheñ ham yaad jo dil maan gayā
chhin gayā kaif bahakte hue kam-zarfoñ meñ
mai-kade se bhī gayā maiñ to pareshān gayā
na milā chain kisī haal meñ majbūroñ ko
muskurā.e to har ik shaḳhs burā maan gayā
apnī rau meñ jo bahā.e liye jaatā thā hameñ
vo zamāna vo tamannāoñ kā tūfān gayā
jhuk ke chūmī jo zamīñ us kī galī kī ham ne
kufr chīḳhā ki sambhālo mirā īmān gayā
tīliyāñ ḳhuun se tar dekhīñ qafas kī jo 'sabā'
apnī sūkhī huī āñkhoñ pe mirā dhyān gayā
Top Urdushayar.com