tujh se dāman-kashāñ nahīñ huuñ maiñ
ai zamīñ āsmāñ nahīñ huuñ maiñ
kārvāñ mere ba.ad aa.egā
gard huuñ kārvāñ nahīñ huuñ maiñ
phail saktā huuñ chhā nahīñ saktā
raushnī huuñ dhuāñ nahīñ huuñ maiñ
naaz hai mujh pe mere saane ko
zahmat-e-rā.egāñ nahīñ huuñ maiñ
juzv huuñ ek jāvedāñ kul kā
haañ agar jāvedāñ nahīñ huuñ maiñ
apnī taqdīr par yaqīn nahīñ
aap se bad-gumāñ nahīñ huuñ maiñ
dar-o-bast-e-chaman ko kyā jānūñ
phuul huuñ bāġhbāñ nahīñ huuñ maiñ
zindagī par bahār hai mujh se
zindagī kī ḳhizāñ nahīñ huuñ maiñ
yā nigāh-e-talab huuñ yā jalva
parda-e-darmiyāñ nahīñ huuñ maiñ
sochne dījiye ma.āl-e-vafā
aap se sargirāñ nahīñ huuñ maiñ
maut se chheḌ-chhāḌ jaarī hai
ziist kā nauha-ḳhvāñ nahīñ huuñ maiñ
āshiyāñ kyā banā.ūñ gulshan meñ
qābil-e-āshiyāñ nahīñ huuñ maiñ
ai ġham-e-sabr-āzmā sun le
qābil-e-imtihāñ nahīñ huuñ maiñ
yūsufoñ kā hai kārvāñ mire saath
yūsuf-e-kārvāñ nahīñ huuñ maiñ
maiñ 'sabā' aah bhī nahīñ kartā
āshnā-e-fuġhāñ nahīñ huuñ maiñ