Saba Akbarabadi

usko bhi humse mohabbat ho zaruri to nahin

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
us ko bhī ham se mohabbat ho zarūrī to nahīñ
ishq hī ishq kī qīmat ho zarūrī to nahīñ
ek din aap kī barham-nigahī dekh chuke
roz ik taaza qayāmat ho zarūrī to nahīñ
merī sham.oñ ko havāoñ ne bujhāyā hogā
ye bhī un kī hī sharārat ho zarūrī to nahīñ
ahl-e-duniyā se marāsim bhī baratne hoñge
har nafas sirf ibādat ho zarūrī to nahīñ
dostī aap se lāzim hai magar is ke liye
saarī duniyā se adāvat ho zarūrī to nahīñ
pursish-e-hāl ko tum aaoge us vaqt mujhe
lab hilāne kī bhī tāqat ho zarūrī to nahīñ
saikḌoñ dar haiñ zamāne meñ gadā.ī ke liye
aap hī kā dar-e-daulat ho zarūrī to nahīñ
bāhamī rabt meñ ranjish bhī mazā detī hai
bas mohabbat hī mohabbat ho zarūrī to nahīñ
zulm ke daur se ikrāh-e-dilī kaafī hai
ek ḳhūñ-rez baġhāvat ho zarūrī to nahīñ
ek misra bhī jo zinda rahe kaafī hai 'sabā'
mere har sher kī shohrat ho zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com