yagāna ban ke ho jaa.e vo begāna to kyā hogā
jo pahchānā to kyā hogā na pahchānā to kyā hogā
kisī ko kyā ḳhabar aañsū haiñ kyuuñ chashm-e-mohabbat meñ
fuġhāñ se guuñj uTThegā jo vīrāna to kyā hogā
hamārī sī mohabbat tum ko ham se ho to kyā guzre
banā de sham.a ko bhī ishq parvāna to kyā hogā
yahī hogā ki duniyā aql kā anjām dekhegī
had-e-vahshat se baḌh jā.egā dīvāna to kyā hogā
ta.assub darmiyāñ se aap ko vāpas na le aa.e
haram kī raah meñ niklā sanam-ḳhāna to kyā hogā
tasavvur kījiye us aane vaale daur-e-barham kā
gadā toḌeñge jab pindār-e-shāhāna to kyā hogā
miTā do hasrat-e-ābādī-e-dil bhī mire dil se
ye jitnā ab hai is se aur vīrāna to kyā hogā
na tum aaoge na āvāz apnī lauT pā.egī
pukāregā tumheñ sahrā meñ dīvāna to kyā hogā
fareb-e-zindagī kī dāstāñ kahne ko kyā kam hai
qayāmat meñ zabāñ par aur afsāna to kyā hogā
lahū ke daaġh baḌh jā.eñge kuchh dīvār-e-zindāñ par
ḳhafā ho jā.egā zindāñ se dīvāna to kyā hogā
mudāvā ho nahīñ saktā hai dil par choT khāne kā
mire qadmoñ pe rakh do tāj-e-shāhāna to kyā hogā
'sabā' jo zindagī bhīgī huī hai bārish-e-gul se
bulā.egā kisī din us ko vīrāna to kyā hogā