Saba Akbarabadi

us ka wada ta-qayamat kam se kam

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
us kā va.ada tā-qayāmat kam se kam
aur yahāñ marne kī fursat kam se kam
sah sake dard-e-mohabbat kam se kam
dil meñ itnī to ho tāqat kam se kam
is kī yādoñ se kahāñ hai dushmanī
sham.a jaltī shām-e-furqat kam se kam
us ke milne se na hotī raushnī
ghaT to jaatī ġham kī zulmat kam se kam
dekhne se un ke ye hāsil huā
ho ga.ī apnī ziyārat kam se kam
us ke ḳhat meñ aur sab kuchh thā magar
sirf matlab kī ibārat kam se kam
dard dene ke vahāñ sāmāñ bahut
aur taḌapne kī ijāzat kam se kam
kyuuñ ġham-e-daurāñ ziyāda mil gayā
thī hameñ jis kī zarūrat kam se kam
ḳhair tum se dostī mushkil sahī
rahne do sāhib-salāmat kam se kam
dekh kar un ko ye andāza huā
hogī aisī hī qayāmat kam se kam
daulat-e-ġham kī farāvānī sahī
dāman-e-dil meñ hai vus.at kam se kam
ġham nahīñ jo chand yādeñ saath thiiñ
kar to lī dil kī hifāzat kam se kam
sīna-chākī umr bhar kī hai 'sabā'
zaḳhm silne kī thī muddat kam se kam
Top Urdushayar.com