junūñ meñ gum hue hoshyār ho kar
hameñ niiñd aa ga.ī bedār ho kar
matā-e-asl hāthoñ se gañvā dī
ḳharāb-e-andak-o-bisyār ho kar
hamīñ ne kī thī saiqal is nazar par
hamīñ par gir paḌī talvār ho kar
jo ġhuncha so rahā thā shāḳh-e-gul par
pareshāñ ho gayā bedār ho kar
dur-e-maqsūd bas ik do qadam thā
ki rishta rah gayā dīvār ho kar
na aa.e hosh meñ dīvāna koī
bahut dukh pā.egā hoshyār ho kar
'sabā' mai hai na saaqī hai na sāġhar
ye din bhī dekhiye mai-ḳhvār ho kar