ġhāliban mere alāva koī guzrā bhī nahīñ
terī manzil meñ kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ
aap kī raah meñ duniyā nazar aatī hai mujhe
ik qadam aur jo baḌh jā.ūñ to duniyā bhī nahīñ
aap kyā soch ke ġham apnā atā karte haiñ
himmat-e-dil to ba-qadr-e-ġham-e-duniyā bhī nahīñ
tum to be-misl ho tauhīd-e-mohabbat kī qasam
tum sā kyā hogā jahāñ meñ koī mujh sā bhī nahīñ
hashr kī bhiiḌ meñ ek ek kā muñh taktā huuñ
is bharī-bazm meñ ik jānñe vaalā bhī nahīñ
husn ne da.avat-e-nazzāra har ik rañg se dī
ishq ne aañkh uThā kar kabhī dekhā bhī nahīñ
ek tum ho ki tamannāoñ ke dushman hī rahe
ek maiñ huuñ mujhe ehsās-e-tamannā bhī nahīñ
juzv-e-dil ban ke samātī hai mohabbat dil meñ
ye vo kāñTā hai ki hai aur khaTaktā bhī nahīñ
yaad aatī hai 'sabā' be-vatnoñ kī kis ko
mujh ko yārān-e-vatan se koī shikva bhī nahīñ