Khushbir Singh Shaad

bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954
bujhā ke mujh meñ mujhe be-karāñ banātā hai
vo ik amal jo sharar ko dhuāñ banātā hai
na jaane kitnī aziyyat se ḳhud guzartā hai
ye zaḳhm tab kahīñ jā kar nishāñ banātā hai
maiñ vo shajar bhī kahāñ jo ulajh ke sūraj se
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ banātā hai
tū āsmāñ se koī bādaloñ kī chhat le aa
barhana shāḳh pe kyā āshiyāñ banātā hai
ajab nasīb sadaf kā ki us ke siine meñ
guhar na honā use rā.egāñ banātā hai
faqat maiñ rañg hī bharne kā kaam kartā huuñ
ye naqsh to koī dard-e-nihāñ banātā hai
na soch 'shād' shikasta-paroñ ke baare meñ
yahī ḳhayāl-safar ko girāñ banātā hai
Top Urdushayar.com