Khushbir Singh Shaad

chashm-e-hairat sare manzar ek jaise ho gae

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954

chashm-e-hairat saare manzar ek jaise ho ga.e

dekh le sahrā samundar ek jaise ho ga.e

jāgtī āñkhoñ ko merī bār-hā dhokā huā

ḳhvāb aur tābīr aksar ek jaise ho ga.e

vaqt ne har ek chehra ek jaisā kar diyā

aarzū ke saare paikar ek jaise ho ga.e

jab se ham ko Thokareñ khāne aadat ho ga.ī

rāstoñ ke saare patthar ek jaise ho ga.e

dīda-e-tar kahānī ab mukammal ho ga.ī

dard sab ashkoñ meñ ghul kar ek jaise ho ga.e

'shād' itnī baḌh ga.ī haiñ mere dil vahshateñ

ab junūñ meñ dasht aur ghar ek jaise ho ga.e

Top Urdushayar.com