vo gul-badan hai sarāpā gulāb jaisā hai
jahān-e-husn meñ vo āftāb jaisā hai
hazāroñ rañg sameTe hue hai āñkhoñ meñ
vo shā.irī kī mukammal kitāb jaisā hai
sañvār detā hai vo saarī mushkileñ merī
har-ik savāl hī us kā javāb jaisā hai
vo rū-ba-rū ho to bas dekhte raho us ko
ki us ko dekhnā kār-e-savāb jaisā hai
zamāna kuchh nahīñ samjhegā bas piye jaao
ki zahr-e-ġham kā nasha bhī sharāb jaisā hai
kisī maqām pe Thahrā hai aur na Thahregā
ki dil kā haal bhī ḳhāna-ḳharāb jaisā hai
har ek lafz hai 'sāgar' kā qīmtī motī
vo rakh-rakhāv meñ ab bhī navāb jaisā hai