Roop Sagar

zaKHm-e-dil ho agar hara rakhna

Roop Sagar

Punjab, India

1982
zaḳhm-e-dil ho agar harā rakhnā
husn vāloñ se fāsla rakhnā
dostī pyaar meñ badal jaa.e
milne-julne kā silsila rakhnā
zindagī kī duā.eñ yuuñ denā
zahr ke saath hī davā rakhnā
duur jaanā hai to chale jaao
lauT aane kā rāsta rakhnā
jiit jaane kā shauq hai tum ko
hārne kā bhī hausla rakhnā
rāsta jo bhī iḳhtiyār karo
apnī manzil ko aa.ina rakhnā
har kisī meñ hunar nahīñ hotā
apne lahje meñ ik adā rakhnā
chāhte ho jo pyaar apno se
duur rishtoñ se tum anā rakhnā
shor barpā hai dil ke 'sāgar' meñ
aaj mushkil hai ġham chhupā rakhnā
Top Urdushayar.com