Roop Sagar

wo zulm to karte hain saza se nahin Darte

Roop Sagar

Punjab, India

1982
vo zulm to karte haiñ sazā se nahīñ Darte
is daur ke insān ḳhudā se nahīñ Darte
aise bhī haiñ kuchh log jo daulat ke nashe meñ
mazlūm kī aahoñ se duā se nahīñ Darte
har haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai ham ne
ham ahl-e-mohabbat haiñ jafā se nahīñ Darte
ham zahr bhī pī leñge baḌe shauq se lekin
Darte haiñ masīhā se davā se nahīñ Darte
mar kar bhī dikhā deñge tire chāhne vaale
haiñ tālib-e-dīdār fanā se nahīñ Darte
har haal meñ manzil pe nazar hotī hai jinkī
rāhoñ meñ kabhī rāh-numā se nahīñ Darte
is daur meñ jiinā koī āsāñ nahīñ 'sāgar'
har roz jo marte haiñ kazā se nahīñ Darte
Top Urdushayar.com