Roop Sagar

ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

Roop Sagar

Punjab, India

1982
ai zamāne tirī raftār se Dar lagtā hai
ab tirī dostī se pyaar se Dar lagtā hai
kin havāoñ kā asar tujh pe huā jaatā hai
tere badle hue kirdār se Dar lagtā hai
dekh sakta nahīñ nākām tujhe duniyā meñ
jiit se apnī tirī haar se Dar lagtā hai
dil ko aatā nahīñ iz.hār-e-mohabbat karnā
aur mujh ko tere inkār se Dar lagtā hai
ziist se paa.e haiñ ġham itne ki ab to ham ko
apnī ḳhushiyoñ ke bhī gulzār se Dar lagtā hai
is qadar shor hai in paañv kī zanjīroñ kā
mujh ko paa.el kī bhī jhankār se Dar lagtā hai
nukta-chīnī hai sab ahbāb kā sheva 'sāgar'
is liye apnī hī guftār se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com