lamha lamha tajraba hone lagā
maiñ bhī andar se nayā hone lagā
shiddat-e-ġham ne hadeñ sab toḌ diiñ
zabt kā manzar havā hone lagā
phir na.e armān shāḳhoñ ko mile
patta patta phir harā hone lagā
ġhaur se Tuk aañkh ne dekhā hī thā
mujh se har manzar ḳhafā hone lagā
raat kī sarhad yaqīnan aa ga.ī
jism se saayā judā hone lagā
maiñ abhī to ā.īne se duur huuñ
merā bātin kyuuñ ḳhafā hone lagā
'dānish' ab tīroñ kī zad meñ aa gayā
zindagī se sāmnā hone lagā