is intishār kā koī asar bhī hai ki nahīñ
tujhe zavāl kī apne ḳhabar bhī hai ki nahīñ
kahīñ fareb na detī hoñ mil ke kuchh maujeñ
jahāñ tū Duub rahā hai bhañvar bhī hai ki nahīñ
yaqīn karne se pahle pata lagā to sahī
ki tere dil kī sadā mo'tabar bhī hai ki nahīñ
ye roz apne ta.āqub meñ dar-ba-dar phirnā
batā masāfat-e-hastī safar bhī hai ki nahīñ
kabhī tū apne ḳhazīne uchhāl sāhil par
kisī sadaf meñ ye dekheñ guhar bhī hai ki nahīñ
maiñ jis kī shāḳh pe chhoḌ aayā āshiyāñ apnā
ye sochtā huuñ ki ab vo shajar bhī hai ki nahīñ
havā se le to liyā Dher sūkhe pattoñ kā
na jaane raakh meñ merī sharar bhī hai ki nahīñ
maiñ jis ke chaak pe rakkhā huuñ 'shād' Dhalne ko
mujhe to shak hai ki vo kūza-gar bhī hai ki nahīñ