ārzūoñ kī ruteñ badle zamāne ho ga.e
zindagī ke saath sab rishte purāne ho ga.e
ābla-pā.ī ne aisī shoḳhiyāñ kiiñ ret se
vaqt ke tapte hue sahrā suhāne ho ga.e
chand lamhe ko tū ḳhvāboñ meñ bhī aa kar jhāñk le
zindagī tujh se mile kitne zamāne ho ga.e
raat darvāze pe baiThī thī so baiThī hī rahī
ghar hamāre raushnī ke kār-ḳhāne ho ga.e
shoḳhiyāñ 'dānish' matānat kī taraf haiñ gāmzan
aisā lagtā hai ki ab ham bhī purāne ho ga.e