shahr bhar ke ā.īnoñ par ḳhaak Daalī jā.egī
aaj phir sachchā.ī kī sūrat chhupā lī jā.egī
us kī āñkhoñ meñ lapaktī aag hai behad shadīd
sochtā huuñ ye qayāmat kaise Taalī jā.egī
mushta.il kar degā us ko ik zarā sā ehtijāj
mujh pe kyā guzrī hai is par ḳhaak Daalī jā.egī
qaid kā ehsās bhī hogā na ham ko dosto
yuuñ hamāre paañv meñ zanjīr Daalī jā.egī
ai mohabbat lafz ban kar itnī sanjīda na ho
ek din tū bhī kitāboñ se nikālī jā.egī
sharm se ḳhurshīd apnā muñh chhupā legā kahīñ
roz-e-raushan meñ bhī 'dānish' raat Dhā lī jā.egī