is se pahle ki sar utar jaa.eñ
ham udāsī meñ rañg bhar jaa.eñ
zaḳhm murjhā rahe haiñ rishtoñ ke
ab uTheñ dostoñ ke ghar jaa.eñ
ġham kā sūraj to Dūbtā hī nahīñ
dhuup hī dhuup hai kidhar jaa.eñ
apnā ehsās ban gayā dushman
jab bhī chāhā ki zaḳhm bhar jaa.eñ
vaar chāroñ taraf se haiñ ham par
shāyad is mārke meñ sar jaa.eñ
sāmnā dushmanoñ se ho jab bhī
aap hañste hue guzar jaa.eñ
koī sūrat nikāliye 'dānish'
bastiyāñ ḳhushbuoñ se bhar jaa.eñ