Siraj Alam Zakhmi

koi mahbub sitamgar bhi to ho sakta hai

Siraj Alam Zakhmi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1984
koī mahbūb sitamgar bhī to ho saktā hai
phuul ke haath meñ ḳhanjar bhī to ho saktā hai
ek muddat se jise log ḳhudā kahte haiñ
chhū ke dekho ki vo patthar bhī to ho saktā hai
mujh ko āvārgī-e-ishq kā ilzām na do
koī is shahr meñ be-ghar bhī to ho saktā hai
kaise mumkin ki use jaañ ke barābar samjhūñ
vo mirī jaan se baḌh kar bhī to ho saktā hai
sirf sāvan to nahīñ aag lagāne vaalā
june kī tarah december bhī to ho saktā hai
chāk-dāman se mire mujh ko burā mat samjho
koī yūsuf sā payambar bhī to ho saktā hai
sirf chehroñ pe latāfat koī mauqūf nahīñ
chāñd jaisā koī patthar bhī to ho saktā hai
tum sar-e-rāh mile the to kabhī phir se milo
hādisa shahr meñ aksar bhī to ho saktā hai
saarā ilzām-e-jafā us pe kahāñ tak rakhkhūñ
ye mirā apnā muqaddar bhī to ho saktā hai
kyā zarūrī hai ki ham sar ko jhukā.eñ 'zaḳhmī'
ek sajda mire andar bhī to ho saktā hai
Top Urdushayar.com