havā ke par katarnā ab zarūrī ho gayā hai
mirā parvāz bharnā ab zarūrī ho gayā hai
mire andar ka.ī ehsās patthar ho rahe haiñ
ye shīrāza bikharnā ab zarūrī ho gayā hai
maiñ aksar zindagī ke un marāhil se bhī guzrā
jahāñ lagtā thā marnā ab zarūrī ho gayā hai
mirī ḳhāmoshiyāñ ab mujh pe haavī ho rahī haiñ
ki khul kar baat karnā ab zarūrī ho gayā hai
bulandī bhī nasheboñ kī tarah lagne lagī hai
bulandī se utarnā ab zarūrī ho gayā hai
maiñ is yak-rañgi-e-hālāt se uktā chukā huuñ
haqīqat se mukarnā ab zarūrī ho gayā hai
mirī āñkheñ bahut vīrān hotī jā rahī haiñ
ḳhalā meñ rañg bharnā ab zarūrī ho gayā hai