siipī saada muñh jab khole kirnoñ kī tab bārish ho
motī kī do mālā.eñ aur un par chamke gañgā jal
kaalī laT hai nāgin jaisī kaan kī lohe us kā phan
us kī nazroñ meñ dhokā hai us kī bātoñ meñ hai chhal
us kā chalnā jaise hilnā phūloñ kī ik Daalī kā
shāḳh kamar hai nāzuk aise lahrātī yā khātī bal
aaj madhur hai lahja terā bol suhāne tere 'ayāz'
aaj ġhazal meñ baat na.ī hai baat na.ī tū kahtā chal