yahāñ to shahr se dīvār-o-dar hī ġhā.eb haiñ
chhatoñ ke ba.ad makānoñ ko le uḌī hai havā
tamām shahr thā saḌkoñ pe aaj raat ga.e
sunā hai phir se javānoñ ko le uḌī hai havā
safar hai raat kā sahrā se vāpsī kaisī
tumhāre saare nishānoñ ko le uḌī hai havā
chalegī vaqt kī āñdhī to kis ko baḳhshegī
na jaane kitne zamānoñ ko le uḌī hai havā
rahā na ab vo lab-e-jū rahā na mai-ḳhāna
hamāre saare Thikānoñ ko le uḌī hai havā
chalo vo vasl kā va.ada bhī kal-adam Thahrā
tumhāre saare bahānoñ ko le uḌī hai havā
havā ke dosh pe uḌte to haiñ parinde par
nazar ke sāmne dānoñ ko le uḌī hai havā
paḌe haiñ tiir yahāñ ġhāziyoñ ke tarkash meñ
añdherī shab meñ kamānoñ ko le uḌī hai havā
ġhalat the saare vo mīzāñ fareb taḳhmīne
hamāre saare gumānoñ ko le uḌī hai havā
rakhe the kis ne vo aurāq tāqche pe 'ayāz'
vo chāhatoñ ke fasānoñ ko le uḌī hai havā