hijr thā yā visāl kis kā thā
ḳhvāb thā yā ḳhayāl kis kā thā
sāmne vo hamāre baiThe the
dil meñ un ke ḳhayāl kis kā thā
ġhair se ham ne maat khaa.ī to
is meñ kahiye kamāl kis kā thā
ham gire haiñ agar bulandī se
dar-haqīqat zavāl kis kā thā
bach ke nikle jo lā-ta.alluq the
bach nikalnā muhāl kis kā thā
reg-e-sāhil pe naqsh baaqī hai
jism vo be-misāl kis kā thā
sher sunte haiñ merā kahte haiñ
aisā nāzuk ḳhayāl kis kā thā
baam par chāñd thā magar phir bhī
chāñdnī meñ jamāl kis kā thā
taan ham par hī aa ke TuuTī hai
pūchiyegā malāl kis kā thā
haq to ye hai nahīñ mile un se
phir ye collar pe baal kis kā thā
pūchhiye kyā kisī nujūmī se
vaqt kis kā hai saal kis kā thā
vo jo rahte haiñ sirf maazī meñ
kaise jāneñ ki haal kis kā thā
daar par chaḌh gayā 'ayāz' magar
kis ne pūchhā savāl kis kā thā