Ayaz Rasool Nazki

aas mein kaTe bis baras aur yas mein kaTe bis baras

Ayaz Rasool Nazki

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1950
aas meñ kaaTe biis baras aur yaas meñ kaaTe biis baras
kuchh na pūchho ham ne kaise kaaTe haiñ chālīs baras
jis ne ham ko ishq sikhāyā jis se samjhe saare gur
us kī umr thī sola satrah apnī thī ikkīs baras
aate jaate har mausam meñ us kā jaadū qaa.em hai
biis baras se dekh rahā huuñ lagtī hai unnīs baras
merā jism bhī suukh chalā hai niil ke sāhil jaisā khet
mulk-e-sulemāñ par tū lahrā bādal bin bilqīs baras
āḳhir shab meñ saare momin resha resha bhiig ga.e
zāhid jitne ḳhushk bache haiñ un pe tū iblīs baras
ham ko bichhḌe kitne guzre saal batā duuñ ai kashmīr
tere sola mere sola hote haiñ battīs baras
Top Urdushayar.com