bahut dinoñ se mire bām-o-dar kā hissa hai
mirī tarah ye udāsī bhī ghar kā hissa hai
phir is ke ba.ad havā aur us kā rahm o karam
abhī talak to ye pattā shajar kā hissa hai
zarūr dil se koī rābta hai āñkhoñ kā
isī liye to lahū chashm-e-tar kā hissa hai
ye terā taaj nahīñ hai hamārī pagḌī hai
ye sar ke saath hī utregī sar kā hissa hai
na jaane 'shād' tirī kab samajh meñ aa.egā
ki ab zamīr-faroshī hunar kā hissa hai