shab-e-firāq meñ mire vo bāl-o-par katar gayā
parind us kī yaad kā na.ī uḌaan bhar gayā
yahāñ pe ḳhuun bah gayā vahāñ pe laash gir paḌī
na jaane kaun shaḳhs thā safar tamām kar gayā
kisī kī niiñd TūTtī koī to raat jāgtā
isī nagar meñ raat ko kisī kā ḳhvāb mar gayā
na tā.eroñ kā ġhol hī hamārī chhat pe aa rukā
na apne ghar ke sāmne vo kārvāñ Thahar gayā
vo dopahar guzar ga.ī vo sar ke baal jhaḌ ga.e
'ayāz' itnī der meñ hamārā din guzar gayā