kyā batā.ūñ ke mire vāste kyā kyā tum ho
merī ġhazleñ mirī nazmeñ mirā lahja tum ho
duniyā vāloñ se ta.alluq nahīñ rakkhā maiñ ne
mujh ko duniyā se ġharaz kyā mirī duniyā tum ho
tum ko is darja aqīdat se paḌhā hai jaise
āsmānoñ se jo utrā vo sahīfa tum ho
tum na hote to mirī ziist kaThin ho jaatī
mere jīvan ke añdhere meñ ujālā tum ho
kyuuñ masīhāoñ se marham kī talab ho mujh ko
sach to ye hai mire zaḳhmoñ kā mudāvā tum ho
merī shohrat kā vasīla hai tumhārī nisbat
merī pahchān ho tum merā havāla tum ho
apnī taqdīr ke likkhe pe hai īmān mirā
mere hamdam mirī taqdīr kā likkhā tum ho