roz dil meñ hasratoñ ko jaltā bujhtā dekh kar
thak chukā huuñ zindagī kā ye ravayya dekh kar
reza reza kar diyā jis ne mire ehsās ko
kis qadar hairān hai vo mujh ko yakjā dekh kar
kyā yahī mahdūd paikar hī haqīqat hai mirī
sochtā huuñ din Dhale ab apnā saaya dekh kar
kuchh talab meñ bhī izāfa kartī haiñ mahrūmiyāñ
pyaas kā ehsās baḌh jaatā hai sahrā dekh kar
mere ḳhvāboñ par bhī us ne naam apnā likh liyā
ab bhī kyuuñ ḳhāmosh huuñ maiñ ye tamāshā dekh kar
sach to ye hai sab ko apnī jaan pyārī hai yahāñ
uḌ ga.e saare parinde peḌ kaTtā dekh kar
'shād' jaane jī rahe ho kaun sī duniyā meñ tum
duniyā duniyā kar rahe ho ab bhī duniyā dekh kar