Dubo ke apne lahū meñ ye uñgliyāñ laḌkī
likhegī to bhī mohabbat kī dāstāñ laḌkī
mujhe ye Dar hai tujhe kirchiyoñ meñ baañT na de
jo tere vāste laayā hai chūḌiyāñ laḌkī
churā ke le hī na jaa.eñ ye rañg-o-rūp tirā
gulāb-e-dil pe na aane de titliyāñ laḌkī
ye zaḳhm-e-hijr to bhar jā.egā magar is kā
tamām umr ko rah jā.egā nishāñ laḌkī
ye dilbarī jise āsāñ samajh rahī hai tū
har ik moḌ pe laatī hai imtihāñ laḌkī
mirī duā hai ba-har-gām chāhatoñ kā safar
tire liye ho sitāroñ kī kahkashāñ laḌkī