kaisī nazroñ se takte ho tum bhī nā
phir anjān se ban jaate ho tum bhī nā
vasl kī ḳhvāhish se labrez tumhārā dil
phir bhī jaane kā kahte ho tum bhī nā
jazboñ kā tūfān chhupā hai siine meñ
lekin phir bhī chup rahte ho tum bhī nā
dil kī baat laboñ par le aate ho tum
lekin baat badal dete ho tum bhī nā
shā.era hone par tum mere ḳhush nahīñ par
dil hī dil meñ ḳhush hote ho tum bhī nā
jaane vaalā aa nahīñ saktā pata bhī hai
phir bhī rasta dekh rahe ho tum bhī nā
andar kā pighlāv aañkh se bah niklā
lekin patthar bane hue ho tum bhī nā