dībācha-e-kitāb farishte se kho gayā
mazmūn-e-āñ-janāb farishte se kho gayā
tahrīr jo kiyā thā hamāre savāl par
yazdāñ kā vo javāb farishte se kho gayā
ham ko payambarī kī bashārat nahīñ milī
ilhām kā vo ḳhvāb farishte se kho gayā
sarzad huī thiiñ nashshe meñ ham se bhī nekiyāñ
vo daftar-e-hisāb farishte se kho gayā
kausar se bhar ke saaqī ne bhejā thā ham ko jo
mashkīza-e-sharāb farishte se kho gayā
āshiq ne koh-e-tūr pe khoyā hai hosh yuuñ
mahbūb kā naqāb farishte se kho gayā
injīl-e-pāk meñ to hamārā bhī zikr thā
āyāt kā vo baab farishte se kho gayā