Khushbir Singh Shaad

jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954
jo shab ko manzar-e-shab taab meñ tabdīl karte haiñ
vo lamhe niind ko bhī ḳhvāb meñ tabdīl karte haiñ
jo aañsū dard kī gahrā.iyoñ meñ Duub jaate haiñ
vahī āñkhoñ ko bhī girdāb meñ tabdīl karte haiñ
kisī jugnū ko ham jab raat kī zīnat banāte haiñ
zarā sī raushnī mahtāb meñ tabdīl karte haiñ
agar mil kar baras jaa.eñ yahī bikhre hue bādal
to phir sahrāoñ ko sailāb meñ tabdīl karte haiñ
jo mumkin ho to un bhūle hue lamhāt se bachnā
jo aksar ḳhuun ko zahrāb meñ tabdīl karte haiñ
yahī qatre banāte haiñ kabhī to ghaas par motī
kabhī shabnam ko ye sīmāb meñ tabdīl karte haiñ
kahīñ dekhī nahīñ ai 'shād' ham ne aisī ḳhush-hālī
chalo is mulk ko punjab meñ tabdīl karte haiñ
Top Urdushayar.com