jismoñ kī chaḌhtī dhuup kā jab qahr utar gayā
ik sho.ala Dūbne ko sar-e-nahr utar gayā
phir yaad aa ga.ī hai tire āñsuoñ kī shaam
phir aaj zer-e-āb koī shahr utar gayā
ab Das rahā hai mujh ko mirā khokhlā badan
sāvan kī bijliyoñ se mirā zahr utar gayā
ham mauj-e-tah-nashīñ the tujhe chhū nahīñ sake
tū barg-e-sat.h-e-āb thā har lahar utar gayā
ab rū-kash-e-jamāl 'musavvir' nahīñ koī
chehra-ba-chehra aks-e-ruḳh-e-dahr utar gayā