shahr kā rog hai jis samt bhī bas jā.egā tū
khule sahrāoñ kī āvāz ko Das jā.egā tū
jab bhī yādoñ kī zamistānī havā chīḳhegī
apne barfīle makānoñ meñ jhulas jā.egā tū
soḳhta shaam kī mahmil huuñ maiñ jaatā hai kahāñ
saath mere hī ba-andāz-e-jaras jā.egā tū
aaj maiñ apne ta.āqub meñ nikal jā.ūñgā
kal mire naqsh-e-kaf-e-pā ko taras jā.egā tū
dekh vo dasht kī dīvār hai sab kā maqtal
is baras jā.ūñgā maiñ agle baras jā.egā tū
maiñ bujhī mahfiloñ kī ashtray kī ik pyaas
raakh ban kar mire hoñToñ pe baras jā.egā tū
is qadar rasm-o-rah-e-jism 'musavvir' na baḌhā
apne hī jism ko ik roz taras jā.egā tū