barābar ḳhvāb se chehroñ kī hijrat dekhte rahnā
guzar chukne pe bhī vo shām-e-rahlat dekhte rahnā
dhanak kī bārisheñ barfāb shahroñ par nahīñ hotīñ
yahāñ phūloñ kā rasta umr bhar mat dekhte rahnā
kitāboñ kī tahoñ meñ DhūñDhnā nā-dīda ashyā kā
palaT kar phir koī ḳhālī ibārat dekhte rahnā
hujūm-e-shahr ke sannāTe meñ gum-sum vo Tiila sā
usī ko aate jaate be-zarūrat dekhte rahnā
jise maiñ chhū nahīñ saktā dikhā.ī kyuuñ vo detā hai
farishtoñ jaisī bas merī ibādat dekhte rahnā
'musavvir' kuchh na kahne kā ye dukh bhī saḳht zālim hai
talab kar legī lafzoñ kī adālat dekhte rahnā