hai vahm jaise koī naqsh ye duhā.ī de
ye zarb-e-tesha mujhe sañg se rihā.ī de
natīja-e-darūñ-bīnī thā kis qadar be-kaif
kueñ meñ duur tak ab ret hī dikhā.ī de
hisār-e-gosh-e-samā.at kī dastaras meñ kahāñ
tū vo sadā jo faqat jism ko sunā.ī de
ye kis talab kī havā.eñ mashām-e-jāñ meñ chalīñ
ki jalte gosht kī ḳhushbū faqat suñghā.ī de
chalo ki donoñ hoñ gardāb-e-ittisāl meñ ġharq
na jaane vaqt kise sāhil-e-judā.ī de
harā-bharā hī rahegā vo ḳhvāhishoñ kā daraḳht
havā hazār use barg-e-nā-rasā.ī de
'musavvir' us se kaho umr bhar na mil paa.e
baḌā hai jurm aziyyat bhī intihā.ī de